Benefit of Almond and Kaju |Badam and Kaju khane ke fayade


 Benefit of Almond & Kaju, Badam and Kaju khane ke fayade 

Badam(Almond) fiver, protein or  helth  se bharpoor hota hai
Jo Apko over eating se rokata hai  Yani inhe khane se apko choti
Choti bhokh nahi lagti

  Badam khane ke kuch Benefit

  • Badam ke khane se Dil (heart) ki bimariyo se khatara kam hota hai.
  • Badam ke sevan  over eating se rokta hai
  •  Badam se diabetes  ko rokane me madad milti hai.
  •  Eske upyog se dimag tej hota hai mother hame subah badam Pani me bhigo kar deti hai taki hamari yadast tej ho.
  • Badam me present  Magnesium haddiyo or mussels ko bhi majboot banate hai.
  • Badam ko Milk me dalkar pine se hamari sarir ko kafi matra me protein, vitamin, calcium, fiber or potassium , copper jaisi jaruri posak tatav milta hai.
  • Badam motape se bachata hai.
  • Badam ko American Jarnal 2015 me hui study se malum hota hai ki ek Muthi Badam khane se Dil(Heart) se sambandhit rogo se khatra kam ho jata hai aur dil ki sehat achhi hoti hai.
  • Badam ke sevan se balo ka jhadana kam ho jata hai Esi ke sath ye skin ko jaruri posak tatva,Nutrients  dekar glowing or healthy banate  hai.

                        Kaju  khane ke kuch Benefit

Kaju ka upyog sweets or sabji ki gravi ko swadist banane ke kam me liya jata hai.
Kaju ki barfi jyada log pasand karte hai. Kaju ka sukha meva hamare swasth ke liye khafi Faydemand hota hai.
Isake fayade aapko hairan kar denge.
  • Body ko energetic banata hai.
  • Kaju ko energy ka achcha source mana jata hai. Iske sevan se sehat ka koi nuksan nahi hota hai
  • Lekin Esake jyada khane se body ko nuksan bhi karta hai. Esiliye kaju ko limit me hi khana chahiye
  • Jisase aapko khafi aram milta hai.
  • Kaju me bahut hi energy ka posak tatva mana jata hai. Isake khane se Hair and skin swasth aur sunder ho jati hai.
  • Kaju hamare cholesterol ko control karta hai.
  • Isame protein bahut achchi amount me hota hai .Ye jaldi digest bhi ho jata hai. Kaju me iron hota hai.isiliye khoon ki kami ko door karne ke liye ise khaya jata hai.
  • Kaju khane se skin me chamak aa jati hai. Roop me nihhar ata hai. 
  • Gharelo upyog me isaka sevan kiya jata hai.
  • Yaddast tej hoti hai
  • Kaju vitamin-B ka khajana hai .
  • Bhukhe pet kaju khakar sahad(Honey) khane se smaran shakti badti hai. Kaju ke upyog se uric acid nahi banta hai aur blood pressure control me rahta hai.
  • Kaju me protien jyada hota hai jisase khane se haddiyo ko majbooti milti hai.
  • Kaju me anti oxidant pachan kriya ko majboot banane me sahayak hota hai.



No comments:

Post a Comment

INSTAGRAM FEED

@recipegyan