Benefit of Green tea , Green tea ke fayade
Green tea Kya hai?
Green Tea Kaimeliya sainensis plant se banta hai.
Isake paudhe ki leaves se green tea aur anya prakar ki tea jaise Black Tea bhi banaya jata hai.
Green Tea se manav Swasth par sabse jyada prabhav padata hai.
Green tea ka utpadan karane ke liye taje patto ko tod kar turant bhap di jati hai, taki Green Tea ko accache
se banaya ja sake. Yah prakriya swasth ko badawa den wale Prakritik polifenols
ko surkshit rakhati hai. Lekin Green tea me black tea ki tulana me poly phenol ki
matra adhik hoti hai. poly phenol jo antioxidant hote hai, hamare sarir ko
swasth rakhane me labhkari hai.
Green
Tea ke poshatik tatva:
Green tea me shaktishali EGCG tatva paya jata hai. Ise
epigallocatechin-3-gallate ke nam se jana jata hai. Isake upyog se kai labh hota
hai jisame se ak sharir me metabolic ka badana aur wajan ko control me
rakhata hai.
Green
Tea ke important tatva paye jate hai
Amino acid aur Enjaem
1 Carbohydrate
2 Vitamin-B6
3 Vitamin -C
4 Protein
5 Thiyanien
6 Amino
Acid
7 Magnesium, Calcium Magnis, iron chromium copper and Zinc jaise khanijo ki matra
Green
-Tea ke fayde
Ham log Green Tea ke upyog se balo aur skin se sambhandhit
fayade ke bare me batate hai. Ham jab bhi Green Tea ka nam lete hai to sabse
pahale apani fitnesh ke bare me sochate hai. Isake poshak tatva Sharir ke liye
labhakari hote hai.
Sehat
ke liye Green Tea ke fayde
1
Green tea wajan kam karne me madad karata hai
Green tea wajan ko kam karata hai isame payejane wala
anti-oxidant ,Metabolism ko badha kar wajan ko kam karta hai. Isame fat burning
harmons upyog hote hai. Byayam karne ke sath sath green tea ka upyog hone se
motapa control me rahta hai.
Green tea me maujud EGCG jadu ka kam karata hai.Isake sevan
ke sath sath apne khane par bhi dhyan dena chahiye. Isake upyog ke niymit roop
se or byayam and yog karana bhi jaruri hai.
Mouth
ke liye Green tea
Jo log hari tea ya Green Tea ka sevan karate hai unke mouth
me koi bimari nahi hoti hai.
Green tea periyodental se bachne me madad milti hai Green
tea Bacteria tato ke mail ko niyantrit karate hai,dat sadane se bach jate
hai. Green tea me polifenols namak tatva paya jata hai jo Dato ko surakshit rakhata hai.
Diabetes ke liye Green tea
Green Tea Sharir ki koshikao ki sanvedanshil kar sakti hai,
taki vo chini ko hajam kar sake aur madhumeh ke prabhav ko kam kar sake. Green
tea ke sevan se diabities ka khatara nahi hota hai. Isame paye jane wala
Polyhenols sharir me glucose ki matra ko control karata hai.
Yadi koi Adami ek din me 6 cup chay pita hai to type-2
diabetes ka khatara bahut kam ho jata hai.Green tea enzymes ki gatividhi
ko rokata hai, jisase rakt pravah me
awashoshit chini ki matra kam ho jati hai.Green tea me anti-diabitic ke gun
paye jate hai jisake karan type 2 diabetes me labh hota hai.
4 Cholesterol ko kam karane me madad karata hai.
Harbard University ki ek report me kaha gaya hai ki Green
tea dil ki bimari se bachane me kam aati hai. Yah cholesterol ko kam karta hai
jisase dil ke rog hone ki ashanka ko kam karata hai.
5 Roogpratirodhak
kshamata me badawa
Green tea me paye jane wala catechins roogpratirodhak
kshamata ko badane me sahayak siddh hota hai. Chay me emmunityy ko bada kar
oxidant ke khilaf surakshita karti hai. Green tea me EGCG regulatory paya jata
hai,jo tea cells ko badata hai jisase
bahut si bimariyo me labh hota hai.
6 Pachan Kshamata
ko badhane me madat karata hai
Green tea me Anti-oxidant hota hai, jo pachan kriya
sudharata hai. Isame maujud catechins pachan kriya ko dhima karata hai.
7
Green tea cancer
se bachati hai
National cancer institute ke anusar , Polifrnol chay ke Anti
– Cancer guno ke liye jimmedar hota hai.
Green tea me sabse faydemand epigallocatechin-3-gallate hai.
Yah polifenol ke sath mil kar mukat kano se ladata hai aur kosikao ko DNA nuksan
se bachata hai. Green tea kuch khas prakar ke cancer se hamari raksha karati
hai.
Yah cancer kosikao ke prasar ko rokate hai. EGCG swasth
kosikao ko prabhavit kiye bagair cancer Kosikao ko panpane se rokati hai.
Cancer ke Elaj ke samay Green tea ki matra ak din me 4 kap pina chahiye, isase
cancer jaisi khatarnak bimari se bacha ja sake.
8
Blood pressure ko kam karati hai Green tea
Green tea pine se isme payajane wala antioxidant gun sujan ko kam karata hai rakt chap ko kam rakhane me sahayata karata hai.
Hanikarak cholesterol ko kam kar sakti hai jisase dil se sambadhit paresaniya kam
hoti hai.Green tea ke niyamit seven se blood pressure niyatrit rahata hai.
9
Gathiya me
labhdayak Green tea
Ye sharir me chhote chhote molecules ke utpadan ko simit
karate hai, jo sujan aur gathia dard ka karan banate hai.
10 Green tea dil ke liye labhdayak hota hai.
Green tea ka sevan karane se dil ki bimariyo se bacha ja
sakta hai. Green tea me hanikarak cholesterol jisase hirday rog ko khatara rahata
hai.
11 Tanav me labhkari Green tea
Green tea me paya
jaje wala caffeine bhi tanav ke elaj me labh pahuchata hai. Ak din me 3-4 cup
green tea ka sevan karane se tanav kam kar sakte hai.
12 Mansik swasth me madadgar green tea.
Green tea me caffeine hota hai lekin coffee ke mukabale isame
matra kam hoti hai. caffeine mastisha ke awarodhak neurrrrotansmeter ki gatiwidi ko
rokata hai.
13 Lambi umar me madad Green tea
Green tea se
lambhi umar bhi ek fayado me se ek hai. Green tea immunity ko badhakar bimariyo
se bachati hai.Isase adhik umra tak jine
me sahayak hoti hai.Green tea nahi pine wale kam umra tak jite hai.
14 Aljaimar ke jokhim ko kam karta hai Green
tea
Green tea ke
sevan se kai mansik bimariyo ka jokhim bhi kam hota hai. Aljaimar aur parkisons
unhi kuch bimariyo me se ak hai. Umra ke sath hone wali mansik bimari Aljaimar
Aam hoti hai. Isame din pratidin human ki yadadast kamjor hone lagti hai aur
nirnay nele me kathinai hoti hai. Wahi, Parkisons me manushya ke hath pav
kapane lagate hai. Ye dono bimariya umra badhane par hoti hai, lekin kabhi kabhi
yah Chote Umra me bhi hota hai. Umra ke sath sath badati rahti hai. Green tea
ke sevan se in bimario se bacha ja sakta hai.Green tea me maujud caffeine in
bimariyo ko kam kar sakta hai.
Twacha ke liye Green tea ke Fayade
Swasth ke liye green tea kitani fademend hai aap log jan
gaye honge Ab ye hamari tvacha
Ke liye kitani
labhdayak hai. Khoobsurat aur bedag twacha ke liye in gharelu upcharo ka upyog
karate hai.
1 Twacha
ko moisturize kerane ke liye Green tea ka upyog:
Badalate mausam ke sath tvacha
rukhi or bejan hone lagati hai. Bahut si mahilao ko bar- bar moisturizer ka
istemal karati hai. Phir bhi rukhepan se aram nahi milta hai to isae me Green
tea ka upyog karane se fayada milta hai. Aap green tea ko face pack ki tarah
laga sakate hai.
Green tea ke Istemal ki
vidhi
Samagri:
Ak
Chammach Green tea ya Green tea ka bag
Do
Chammach shahad(Honey)
Banane
aur lagane ki vidhi:
- Sari samagri ko milakar ek pest banate hai.
- Taiyar mishran ko chehare par lagaye or dhyan de ki Aapke Ankho aur munh me n lage.
- Lagane ke 15 se 20 minute tak apne chehare par lage rahne de
- Usake bad chehare ki thande pani se dho le aur saf tauliye se pochkar samanya cream laga le.
Kaise
faydemand hai?
Shahad me halki bliching ke gun hote hai jo tavcha ke dag ko
kam kar sakate hai. Green tea tavcha ke Anti-oxidant prabhav ko badati hai .
Yah rukhi tavcha bejan tavcha ko nasht karati hai.
Muhaso ke liye green tea ke fayade
Muhaso ki samsya
kabhi bhi aur kisi ko bhi ho sakati hai. Jab bahut si cream upyog karane se
labh nahi milta hai to Green tea ka upyog karane se labh milta hai.
Samgri:
- Fesial cleaner
- Green tea
- Spray
- Moisturager
- Tauliya
Banane or Lagane ki Vidhi
•
Aap Green
tea bana le.
•
Ise
thanda karake Spaybotal me bhar le.
•
Ab aapna
chehara Facial cleaner se dhokar Tauliye se sukha le.
•
Phir
chehara thande pani se dhokar tauliye se sukha le aur moisturizer laga le.
•
Aap sprey
ko har roj do bar Istemal kar sakate hai
Kaise
faydemand hai?
Green tea me Caffeine hota hai,jisame Anti microbial gun
hote hai or muhase paida karane wale bacteria ko khatma karate hai.
Jhurriyo me labh dayak Green tea
Bahut makeup ya tarah tarah ke cream ke upyog se samay se
pahale tavcha par jhurriya ane lagti hai. Jhurriyo ko khatam karane ke liye
bahut si cream ka upyog karane lagate hai aur natija tavcha apani chamak khone
lagati hai. Jhurriyo ko kam karane ke liye Green tea pi sakte hai .
Samgri:
•
Green tea bag ya Green tea ke patte
• Shahad
Banane
ki Vidhi:
•
Green tea bag ya patto ko Bhigoye
•
In patto ko shahad me milakar ak pack bana le
•
Is pack ko apne chehare par laga kar thodi der
sukhane de.
•
Sukhane ke bad is pack ko thande pani se dho le.
• Is pack ko hafte me ak bar laga sakate hai.
Kaise Faydemand hai
Green tea me maujud Anti inflemetari
gun aur shahad me maujud Anti oxidant gun Jhurriyo ko khuch samay tak kam kar
sakate hai.Isake alawa shahad me paya jane wale Anti bactirial gun chehare ko
saf karata hai aur chehare ke texture ko sudharta hai.
Green
tea ke Type
Green tea ka sevan sabhi jagah hota hai, isaliye bajar me
kai tarah ke green tea milta hai.
1.
Jaismin green
tea
2.
Morrakko mint
green tea
3.
Gen macha green
tea
4.
Dragan vel green
tea
5.
Haujicha green
tea
6.
Kukicha green
tea
7.
Sencha green tea
8.
Glokuro green
tea
9.
Bilauchan green
tea
10.
Macha green tea
Ye green tea sabhi najdeeki
dukan par uplabdha hai.
Online se asani se milti hai
.
Green
tea banane ki vidhi
1.
Patte wali
Green tea
Ak chammach Green tea ke patte Chay ki chhanni ek cup pani
Banane ki vidhi:
ek cup par chay ki chhanni rakhe
Ab chhanni me green tea ke patte dale
aur us par garam pani dale.
Phir green tea ke patto ko chammach
ki madad se thoda daba de.
Dhyan de patto ko jyada na dabaye nahi to apki chay
kadavi ho sakati hai. Green tea me thoda shahad mila sakte hai.
2.
Tea Bag wali
Green tea
Ak green tea bag
Ak cup garam pani
Banane ki vidhi:
Ak cup garam pani me ak green tea ke
bag ko thodi der tak bhigoye.
cup ko kisi plate se dhak de.
Thodi der bad aap ise nikal le.
Swadh ke liye isame thoda shahad mila le aur phir isaka
sevan kare.
3.
Powder wali
green tea
Adha ya ak chammach green tea powder ek cup pani ek chammach shahad
Banane ki vidhi:
ek bartan me pani ubal le or kach
samay tak thanda hone ke liye chhod de.
Ab isame adha ya ek chammach green
tea powder dale.
Thodi der ise pani me ghulane ke liey
chhod de.
Jab pani ka rang halka bhura ho jay to ise chay ki
chhinni se chhan le. Swad ke liye isame shahad mila le.
Green
tea pine ka sahi samay
- Green tea ko naste ya dopahar ke khane ke bad pina chahiye.
- Behatar yahi hog ki green tea ko kuch bhi khane ke turant na piya kare.
- Green tea ko khali Pet pine se bachana chahiye.
- Rat ko green tea pine se bachana chahiye kyoki isase anindra ki bimari ho sakti hai.
- Green tea me dhood ya Chini na milaye.
No comments:
Post a Comment