Aam Ka Achar
Mango Pickle |
Garmi ke
mausam me jab Aam ka sijan atta hai to usi samay ham aam ka achar banate hai
Aam ka
achar sabhi logo ko pasand atta hai Aam ka Achar kai tariko se banaya jata hai.
Aam ka
achar Jayadatar log khana khate samay pasand karte hai
Aam ka achar banane ki sabse asan tarika
Jab ham log aam ka achar banate hai to sabse pahale aam
ko achi tarah se
dho late hai aur kache aam ko rkhate hai aam ke achar
banate samay aam ko
Chote chote tukade kar dete hai
Aam ke achar banane ki
aawsyak samagri
Kache aam- 2
kg
Sarso ka tel
-400g
Hing -1/2
chamach
Namak -200g
Haldi -100g
Shop -100g
Maithi-100g
Sarso pila
-100g
Mircha -1
chamach
Iske bad sabko mix kar dete hai uske bad gas chalu krte hai
aur gas par ek bartan me rakhte hai taki aam ke chote tukade naram ho gay phir
jab aam ka tukada garam ho gata hai to gas band kar dete hai aur iske bad aam
ke chote tukade aur masala ko aapas me mila dete hai isko jis thali me dalte
hai wah saph hona chahiye taki achar kharab nhi ho masala mila dene ke bad use ek
saph chamach se chalate hai tab achar tayar ho jata hai.
Iske bad ise dhup me rakhate hai ise lagbhag 6-7 dino tak
dhup me rakhte hai aur jab jab achar ko dhup me rakhte hai to use chamach se
chalate rahte hai taki achar kharab nhi ho is achar ko ham
12 month tak kha skte hai .lakin isko 3 manth me ek bar 1
din dhup me rakhana padata hai .
Aam ka achar bahut hi sawadist hota hai . Isme 12 month ke
bad bhi iske sawad me koi badlaw nhi hota hai iska sawad pahle ke jaise rahata
hai.
Aam ke achar ko
rakhane ka shahi tarika.
- Aam ke achar ko saph thali me rakhana chahiye
- Aam ke achar ko jis thali ya bartan me rakhate hai wah glass ya palastic ka hona chatiye
- Aam ke achar ko 3 manth me ek bar dhup me jarur rakhana chahiye
- Aam ke achar ko khate samay saph chamach ka upyog karana chahiye
No comments:
Post a Comment